Monday, 31 July 2017

Jis din se tu aaya hai....

Jis din se tu aaya hai..
Naya sawera laya hai...
Aasman ke taaron per..
Tera chehra chaya hai...

Teri hasi hai kitni pyari..
Na tujhse koi pyara hai...
Mere jigar ka tukda tu...
Mera raaj-dulara hai..

Phoolon jaisa naazuk tu..
Chaand sa tu nirmal hai..
Tere nanhe haathon mein to..
Surya ki sau kirne hain..

Ho tere sapne pure ...
Armaan ye hamara hai...
Rahe khush tu hamesha..
Dil se hamaari duaaein hain...